Saturday, October 16, 2010

╰» αяz кιyα нαι 2


Manzil Ki Talash Main Yeh Kahan Aa gaya...
Mehfil Ki Ummed Thi, Phir Kyun Main Tahna Reh Gaya...
Mujhe Kahan Jana Tha Aur Main Kahan Aa Gaya!!!


Zindagi ki asli udaan abhi baaki hai,
Zindagi ke kai imtihann abhi baaki hai.
Abhi to napi hai muthi bhar zameen ,
Aage abhi saara aasman baaki hai...



Mohabbat mein laakho zakhm khaye humne,

Afsos unhe humpar aitbar nahi...
Maat pucho kya gujarti hai dil par,
Jab woh kehte hai humein tumse pyaar nahi....



Mohabbat se humen kya umeed hoti hai,

Mohabbat toh beumeed hoti hai...
Chahate hai jinhe hum jaan se bhi zyada,
Bewafai unhi se toh naseeb hoti hai...

Khushi mile to hass na saka,

Gum mile to roo na saka,
Zindagi ka yahi dastur hai,
Jise chaha usse pa na saka,
Aur jise paye usse chaha na saki.


Duaa na karna hamare liye,

Humein duaa ki zarurat nahi,
Karni ho to baadduaa karna humare liye,
Kyon ki,
Kisko aab humari zarurat hi nahi.


Phir chupke se yaad aa gaya koi,

In hasti aakho ko rula gaya koi,
Kaise shukriya aada karu uska,
Es nachis ko pyar karna sikha gaya koi...

No comments:

Post a Comment